Thursday, 20 April 2017

Falak ke nazaro




Image result for hadith of prophet muhammad saw


Falak ke nazaro zameen ki baharo
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Anokha niraala woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray baadshaho aray kaj kula'ho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
fizaun mein naghmaat Salle'Alla ke
Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Huwaa char su Rahmataun ka ba'sayra
Ujaala ujaala sawera sawera
Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki
mere ghar main aao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Kahaan mai Zahuri kahaan unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

No comments:

Post a Comment

Featured post

Lessons from the tragedy of Karbala

"O Allah! It is Thee in whom I trust amid all grief. You are my hope amid all violence. Thou are my refuge and provision in everyth...

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...